Masoom Gadha:-

Masoom Gadha:-



Insan ik taraf buhut imaandaar bhi hai to tasvir kay dosry rukh mai is say ziada be-imaan bhi koe nae us say ziada nafs parast bhi koe nae apny faidy kay chaker mai wo Halal or Haram ki tameez bhi bhool  jata hai.Gadha waisy to wazan uthanay kay kaam ata hai lekin kuch sehtaan sift insan nay isy bhi qurbani kay qabil bana lia hai..Aray aray yeh koe Mahavra ya mazak nae balkay asli mai Pakistan mai is masoom kay sath wehsiana sulok kia ja raha hai or usay insan ki khuraak banaya ja raha hai hatta kay gadha ik haram janwar hai.. Buhut salon pehlay Karachi seher mai gadhay kay gost ka inkishaaf hua tha to us waqt kay insaaf kernay walon nay mujrim ko qanoon kay tehet saza dy ker yeh sabit ker dia tha kay mulk mai qanon mujud hai lekin ab to qanon kay rakhwaly bhi is bad or gehnony dhanday mai shamil ho chukay hain ab to dar lagta hai kise hotel mai jatay huy kay pata nae wahan ka khana halal bhi hoga ya…?Gadhay ka gost ka karubaar kernay waly itny ba-aser hain kay in kay pass hathyaar barader ki puri team mujood hai in per hath dalna itna asan nae hai ager galti say koe imaandaar police officer  kosish ker bhi lay hath dalnay ki to sirf or sirf mot ka perwana us kay hath ata hai.Yeh dhanda sirf Karachi mai he phal phool nae raha balkay Pakistan kay muktalif sehron, Jehlum,faislabbad,sukker,kher por  wagera mai bhi yeh karubaar aam hain Rawalpindi mai bhi gadhay ka gost aam hai Buhut say qasaab aeb-daar gadhay ko kam qeemat per kharid laity hain(Yani ik to pehly haraam 2 number  kaam or is do number kaam per  mazeed do numberyJ)
Mulk kay ik mashoor Akhbaar Jaang kay ik feature mai likha hua tha kay..

Masalajaat ki maksoos Buu-Khatm ho sakti hai(Mahir-e-pakwaan ka dawa)

Gadhay ka gost pakanay kay mahir ik bawerchi nay apna naam zahir na kernay ki shirt per bataya kay “jis tarah digree hoti hai, chaye wo  asal ho ya jali, ise tarah gost,gost hota hai,chaye wo bakray ka ho ya gadhay ka-dono mai koe khas ferq nae hota hai-jab mai gadhay ka gost pakata hon, to is mai masalajaat ka istimal qadry ziada kerta hon-Kushk dhunniye , dahi, aanar dany,sabz elaechi, long, lehson ka terka laga dia jaye to gadhay kay gost ki maqsoos buu khatam ho jati hai or wo bakray kay gost say bhi behter zaiqa daita hai-Is ka yeh bhi kehna hai kay ab tak tak kae shadiyon mai gadhay kay gost ki dygain paka chukka hai-

Isy perh ker to lakhon logo nay shadi mai jany ka irada he tabdil kerlia hoga…
Behraal Awam ka zehen to bus yeh chal raha kay kab tak wo haram gost say dor reh sakaingy kiu kay jis rafter say yeh dhanda phel raha to ik na ik din pakisan mai her koe haraam he kha raha hoga,Hamary siyasatdano ko aqal aye (jo kay mushkil he hai)kay wo is dhanday ko khatam kernay kay liye himmat bhandain or is maslay ko assembly mai uthaen takay mulk say yeh gehnona dhanda khatam ho saky.
  

Taleem sub kay liye:


Taleem sub kay liye:


Taleem her insan kay liye buhut zarori hai chaye wo ameer ho ya gareeb ya us ka taloq kise mutavast tabkay say  ho taleem insan ko na sirf acchy or bury ki tameez sikhati hai balkay zindagi guzarnay kay liye jo mali sahara chaye hota hai us ko bhi hasil kernay mai  bharpoor madad daite hai pakistan mai taleemi nizaam badhali ka shikaar hai is ki buhut sari wajohat hain lekin filhaal mai is blog mai sirf ik waja ka ziker kronge jo buhut ziada ehem hai or wo hai taleemi nizaam ka sub kay liye ik na hona hai  Pakistan mai taleem ka mayar sub kay liye ik jaisa q nae hai is mulq mai taleem ka nizam her tabkay kay kiye alag alag kiu hai..? garibon kay liye alag taleem ,ameeron kay liye alag taleem or mutavast tabkay kay  liye bilkul alag he nizam baalkay garibon ko to taleem muyaasr he nae hai kahin government kay schools hain to teachers gaeb kahin perhany wala mujood hai to jaga nae ameer kay bacchy aala or mehengy school mai perhty hain jis ka koe muqabla he nae mutawast or gareeb tabkay kay schools say jis ki waja say fasla bharta ja raha in tbkaon kay bech mai garibon ko ameeron say or ameron ko garibon say nafrat hoti ja rahi hai hukumat ko chaye kay wo serkari taleemi mayar ko behter banaen takay koe tabka un schools mai perhny say na hichkichaye or taleemi  nizam behter say behter hosaky,  taleemi ferq kaam ho saky jo paida hogaia hai in tabkon kay bech  is say na sirf apas ki ranjishain khatm honge balky  pakistan ka image bhi behter hoga dunia ki nazar mai jis say pakistan ko terrakki kernay mai madad mily ge.


Please also like Urdu kahani on facebook