Ik or Taleemi idara..

image not found
Bacha khan university

Pakistani mai taleemi idaron per hamla ik khel ban chukka hai bacchy ,jawan jahan taleem hasil kernay jaty hain us ka mehfooz na hona us mulk kay liye sab say ziada khaternaak bat hai or wo bhi aesy mulk mai jahan taleem ki pehly he kami ho.kise bhi mulk ka mustakbil hotay hain nojawan ajj phir un per hamla hua or nishana bana ab ki bar Bacha khan university charsaddah.jahan mulk kay mustakbil ilm ki roshni say fezyab ho rahy thy.25 say zaed afrad shahid ker diye gaye or 60 say zaed zakmi hain in sab ka jurm taleem  hasil kerna tha is hamlay nay taleemi idaray ki security per ik buhut bara sawalia nishan laga dia hai.Is hamlay nay na sirf qoum ko ghumzada ker dia hai balkay qoum kay zehno mai ik sawal bhi chor gaia hai..hamara mustakbil kia hai? kia hamaray bacchy mehfoz hain..?kiu kay jis tarah say taleemi idaron ko nishana banaya jar aha hai qoum kay mustakbil ko khatm kia ja raha hai to her sacchy Pakistani kay zehen mai yahi sawal aye ga.sobay kay hukmiranon ko 10 din pehly he taleemi idaron per hamlay kay bary mai ittala dy de thi khufya idaray nay lekin phir bhi kuch na ho saka..?hukumat ki is laperwae kay bad mulk bhar ki universities mai jany waly talba bhi khof ka shiker hain khususon Karachi mai.Karachi ki ehem darsgah university of Karachi ki security bhi na honay kay braber hai 25,000 say zaed tulba ki tadad rakhnay wali university ki front side(main dakhli derwaza)per to security mujood hain lekin pechay ki taraf(back side)walay hissy mai koe security nae hai jo “maskan”kay nam say jana jata hai.hukumati idaron ko chaye kay wo poury Pakistan ki darsgahon ki security ko check kerain or un kay baray mai lahayaamal teh kerain takay mustakbil ko tabah honay say bacahya ja sakay or is mulk mai ilm ki shamma pehly.  

Karachi walon bach ker rehna


Je han Karachi walon kay liye ik buri khaber hai  Karachi mai dengue nay phir hamla ker dia hai buhut say log mutasir ho rahay hain is khaternak fever dengue nay  pechly saal bhi buhut tabhaya machayen thin buhut saray log apni jaan say gaye thy na sirf Karachi mai balkay puray Pakistan mai or ab phir ik bar dengue ka raj hai karachi sehhir mai ab tak ki report kay mutabiq 30 aafrad dengue say mutasir huy hain is say pehly kay yeh fever Karachi mai puri tarah phel jaye us ko yahin ruk dia jana chaye or ruknay ki muhim mai awam or hukumat dono ko mil ker kam kerna chahiye awam ehtiati tadabir apnayen takay yeh merz un ko bemar na ker sakay or unhay hospital jany ki zarorat na paray apny gharon mai machcharon ko marnay kay ikdamat kerain bertano ko dhanp ker rakhain zarorat say ziada pani kiyariyon wagera mai nae dalain kiu kay falto pani jama hony say dengue machchar ki afzaesh mai ezafa ka baes banta hai or apny dustbins wagera ko saaf rakhain in sary ikdamat ko ker kay ap dengue say dor reh saktay hain.


Masoom Gadha:-

Masoom Gadha:-



Insan ik taraf buhut imaandaar bhi hai to tasvir kay dosry rukh mai is say ziada be-imaan bhi koe nae us say ziada nafs parast bhi koe nae apny faidy kay chaker mai wo Halal or Haram ki tameez bhi bhool  jata hai.Gadha waisy to wazan uthanay kay kaam ata hai lekin kuch sehtaan sift insan nay isy bhi qurbani kay qabil bana lia hai..Aray aray yeh koe Mahavra ya mazak nae balkay asli mai Pakistan mai is masoom kay sath wehsiana sulok kia ja raha hai or usay insan ki khuraak banaya ja raha hai hatta kay gadha ik haram janwar hai.. Buhut salon pehlay Karachi seher mai gadhay kay gost ka inkishaaf hua tha to us waqt kay insaaf kernay walon nay mujrim ko qanoon kay tehet saza dy ker yeh sabit ker dia tha kay mulk mai qanon mujud hai lekin ab to qanon kay rakhwaly bhi is bad or gehnony dhanday mai shamil ho chukay hain ab to dar lagta hai kise hotel mai jatay huy kay pata nae wahan ka khana halal bhi hoga ya…?Gadhay ka gost ka karubaar kernay waly itny ba-aser hain kay in kay pass hathyaar barader ki puri team mujood hai in per hath dalna itna asan nae hai ager galti say koe imaandaar police officer  kosish ker bhi lay hath dalnay ki to sirf or sirf mot ka perwana us kay hath ata hai.Yeh dhanda sirf Karachi mai he phal phool nae raha balkay Pakistan kay muktalif sehron, Jehlum,faislabbad,sukker,kher por  wagera mai bhi yeh karubaar aam hain Rawalpindi mai bhi gadhay ka gost aam hai Buhut say qasaab aeb-daar gadhay ko kam qeemat per kharid laity hain(Yani ik to pehly haraam 2 number  kaam or is do number kaam per  mazeed do numberyJ)
Mulk kay ik mashoor Akhbaar Jaang kay ik feature mai likha hua tha kay..

Masalajaat ki maksoos Buu-Khatm ho sakti hai(Mahir-e-pakwaan ka dawa)

Gadhay ka gost pakanay kay mahir ik bawerchi nay apna naam zahir na kernay ki shirt per bataya kay “jis tarah digree hoti hai, chaye wo  asal ho ya jali, ise tarah gost,gost hota hai,chaye wo bakray ka ho ya gadhay ka-dono mai koe khas ferq nae hota hai-jab mai gadhay ka gost pakata hon, to is mai masalajaat ka istimal qadry ziada kerta hon-Kushk dhunniye , dahi, aanar dany,sabz elaechi, long, lehson ka terka laga dia jaye to gadhay kay gost ki maqsoos buu khatam ho jati hai or wo bakray kay gost say bhi behter zaiqa daita hai-Is ka yeh bhi kehna hai kay ab tak tak kae shadiyon mai gadhay kay gost ki dygain paka chukka hai-

Isy perh ker to lakhon logo nay shadi mai jany ka irada he tabdil kerlia hoga…
Behraal Awam ka zehen to bus yeh chal raha kay kab tak wo haram gost say dor reh sakaingy kiu kay jis rafter say yeh dhanda phel raha to ik na ik din pakisan mai her koe haraam he kha raha hoga,Hamary siyasatdano ko aqal aye (jo kay mushkil he hai)kay wo is dhanday ko khatam kernay kay liye himmat bhandain or is maslay ko assembly mai uthaen takay mulk say yeh gehnona dhanda khatam ho saky.
  

Bechara Karachi:

Bechara Karachi:-







Ajj kal Karachi ki siyasat phir garam hai waisy to Karachi mai to her waqt germagermi chalti rehti hai..karachi ko kon chala raha hai yeh ajj tak pata nae chal saka her siyasi jamat Karachi ko gadhay ki tarah hankh rahi hain or bechara masoom Karachi chup chap sahy ja raha hai ab kia kiya ja sakta hai is mai rehny waly logon mai taqat he nae kay wo in lotayron say Karachi ko churwa sakain, siyasi jamatain ik dosy  per ilzaam he lagati rehti hain or vote bhi wo awam say is liye laity hain kay daikhain kon kitny ziada ilzaamat laga sakta hai or karach ki awam bhi ab dheet hogae hai shayd un ko isy mai maza ata hai ab wo yeh daikhty hain kay larai kab tak chaly ge masala kitna hoga..siysatdaan bhi to aala drama pesh kerty hain kuch qistwaar hoti hain kuch ik din ki kahani hoti hai isy mai media ka bhi karubaar chal jata hai chalo ik tarah say thek he becharon ko rozi roti mil jati hai tabhi to Karachi mashoor hai sadqa or kheraat kay hawalay say hmm albatta jo bechary khud kamanay waly hain wo mushkil mai phans jaty hain aye din hertal aye din heral jo mahana basis per kaam kerty hain wo to phir bhi sukon mai rehty hain lekin wo bechary jin ki rozi roti he rozana ki bunyaad per kaam kernay say milte hai wo mushkil mai per jaty hain un kay gharon mai faqy hojaty hain..bus awam ka to siyasi jamaton say ik he mutalba hai jo kerna hai kro lekin khudara rozi kamany ka zerya kholy rakho hum tumhary sath hainJ

Model ayyan ali


Model Ayyan Ali:


Pakistan ki mashoor model ayyan ali jo ajj kal aadyala jail mai band hain jin ko un ki derkhast per B class to nae de gae lekin phir bhi un kay  life style ka ehtram kerty huy yeh zaror kia gaia kay jail mai un kay liye ik Mulazma rakhi gae hai jo khud bhi ik qedi hai wo un kay tamam kaam aanjam dy ge zahir hai bhai ayan ali ik super model hai ab un kay sath mujrimo wala to bertao nae kia ja sakta na..Yeh to Pakistani qanoon kay khilaf hojaye ga matlab Pakistan mai bary logon kay liye to alag qanon hai ab ayan ali khud mashoor phir Pakistan kay ba-aser shaksiyat ka hath hai un per to imtiyazi sulok kaisy nae kia jata un say or phir to wo abhi mujrima nae mulzima hai…Ayyan ali griftaar hain money laundering(Paison ki gher qanoni muntukli) case mai jis mai wo 5 lakh doller(5 carror Pakistani rupees)lay ja rahi thin beroni mulk hamary kay custom officer nay unhy moqay per he pakr lia(Shayd un ko pata nae tha ayan Ali kis ki serparasti mai hain)Behral ab to wo jail mai hain daikhtay hain or kitny din rehti hain kiu kay hamary mulk mai to chund dino tak khabron ka dhindora pita jata hai hamara media sunsani pehlany kay liye kuch din khaber sonata rehta us ki bad usy mazeed chatpati kabrain mil jati hain to wo khaber bilkul ghaeb hojati hai or phir log bhi sub bhol bhaal ker beth jaty hain or mamla dabby mai chala jata hai or mujrim/mulzim mazy mai ajata hai  bus ab yahi daikhna hai kia hota is case ka kia ik mashor shaksiyat ko aam sehri ki tarah saza mily ge..? kia is mulk mai qanon her  ik kay liye braber ho saky ga,Ab intizer krain fesly ka.

Dhaancha kis ka...


Dhaancha Kis ka..?






Dhaancha kis ka aap log soch rahy hongy kis dhaanchy ki baat ho rahi hai kiu kay Pakistan mai to her chez ka dhaancha matlab tiya pancha nikla hua hai behraal mai to yahan abhi pakisan cricket kay dhaanchy ki baat ker rahi hon kuch cricket kay kerta dherta hamari cricket  team ka bhi dhaancha niklalna chaty hain balkay chatay nae hain nikaal chukay hain pakistan world cup mai koe khatir khwn karkerdagi nae daikha saka kiu  kay misbah kay sath 2/3 khailari thy jo mulk kay liye khel rahy thy baki sub najam or waqar kay liye khel rahy thy un ko sirf apny mustakbil ki pari thi zahir hai kon pagal hai jo pak cricket kay Don ki na sun ker apna mustakbil kharab ker laita kher yeh to thi world cup ki kahani us kay baad Don 2 nay ik tajwees pesh ki kay Azhar Ali ko one day ka captain muqarrar ker dia jaye azher ali ki qabiliat per to koe behes hai nae kay wo kaisa khailari hai kaisa nae  behes to sirf is baat per thi kay ik bnda jis ki oneday team mai jaga he banti one day kay captain kay liye us kay naam ki tajwees pesh ki gae kay usay captain banadia jaye Mery khayal say to azher nay bhi jab yeh suna hoga to heraan hua hoga or kaha hoga bhaly mere kitne bhi dosti hai coach say lekin unhy itne aehmaqana tajwees to nae daine chaye thi itna khol ker mery or apny taloqat ko zahir nae kerna chaye tha,her Pakistani ki samajh say bahir thi yeh tajwees kay ik bnda jo khelta nae oneday wo oneday ka captan kaisy baan sakta hai behral jo bhi pakistanio ko samajh aye ya nae aye wo herat  zada nae thy kiu kay wo aadi ho chukay hain aesy be-waja feslon kay behraal ab to captain muntakib bhi hogaye Don 2 ki tajwees per he zahir hai wo don hainnn bus ab to dua hain kay ALLAH azhar ali ko Pakistan cricket  kay haq mai accha captain banady hum Pakistani to bus dua he ker sakty hain kay hockey ki tarah cricket  ka dhaancha na niklay or Pakistan cricket hamesha surkuru rahy chaye captain koe bhi ho.(Aameen)