Yahi such hai
in
dunia,
muslim,
prophet,
such
- on 09:43
- No comments
Yahi such hai:
Jab bhi khaber sonny
ko milte hai kay kise kafir nay hamaray Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) kI Shaan mai gustaki ki hai to dunia weraan
se lagny lagti hai gussa aany lagta hai apny aap per kay is qabil bhi nae kay
us gustaak ko saza day sakon yeh islam dusaman nae balkay insaniat kay dushman
log hotay hain jo Prophet Hazrat Muhammad
(s.a.w.w)
ki shaan mai gustaki ker kay islam or deger
mazahib ko lerwana chaty hain pehli baat to yeh kay kise bhi mazhab mai
kise ki dil azari ka koe qanon nae to aesa kernay waly kise mazhab say taloq
rakh saktay hain kia..?in ka asal maqsad muslim dunia kay sath tamam dunia mai
intishar pehlana hota hai jo thora buhut bhi mazhab ko janta ho chaye wo musalman ho, essaye ho ya kise bhi mazhab say taloq rakhta ho wo
kabi kise bhi peghamber ki shaan mai gustaki ko sae nae kahy ga or khas tor per
musalman to bilkul berdhast nae krain gay or pher apny piyaray aaqa Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki ho to kon
berdhast ker sakta hai muslim hukmirano ko to aesho ashraat say fursaat nae
milte un kay pas to time he nae dolat jama kernay kay siwa ab un kay liye mazhab
ka koe matlab nae reh gaia hai or Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki shaan mai gustaki ka masla sirf muslim
dunia ka nae balkay tamam dunia ka hai kiu kay Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w)sirf musalno kay pehghamber
nae thy balkay tamam duni kay liye mohsin-e- insaniat thy kia koe gher muslim Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki seerat ka mutala
kernay kay bad yeh keh sakta hai kay Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) sirf musalmano kay pehghamber thy ajj taak
jitney bhi non muslims nay Prophet
Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki seerat ka mutala kia unho nay yeh baat mani kay Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ka pehgham tamam dunia
kay liye hidayat ka zarya hai jo koe bhi Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) kay
diye gaye pehgham per aaml kary ga wo kamyaab rahy ga chaye wo gher muslim kiu
na ho ager gher muslim is moqay per musalmano ka sath daingy to wo nasirf
musalmano kay sath yakjehti keraingy balkay insaniat ko bhi sahara daingy jo
ajj kahin khogae hai jo kay is dunia ki sub say bari zarorat hai .Ajj bary say
bary hathyar banadiye gaye hain yeh soch ker kay taqawaar baan sakin lekin kise
nay yeh socha hai kay yeh hathyar khud un ko bhi tabah ker daingy yeh sari
chezain sirf mahol ko tabah krainge is say koe mashra ya koe ik mazhab tabah
nae hoga balkay puri insaniyaat tabah hojaygee is liye tamam mazahib kay maanny
walon ko chaye kay wo apny mazhaab ko sae say smjhain takay dunia ko tabahi say
or dosron kay dil aazari say bach sakain kiu kay mera yakeen hai kay koe
mazhaab ghalaat talem nae daita bus us kay manny waly usay sae samjh nae patay.


Post a Comment