Taleem sub kay liye:
Taleem her insan kay liye buhut zarori hai chaye wo ameer ho ya gareeb ya us ka taloq kise mutavast tabkay say ho taleem insan ko na sirf acchy or bury ki tameez sikhati hai balkay zindagi guzarnay kay liye jo mali sahara chaye hota hai us ko bhi hasil kernay mai bharpoor madad daite hai pakistan mai taleemi nizaam badhali ka shikaar hai is ki buhut sari wajohat hain lekin filhaal mai is blog mai sirf ik waja ka ziker kronge jo buhut ziada ehem hai or wo hai taleemi nizaam ka sub kay liye ik na hona hai Pakistan mai taleem ka mayar sub kay liye ik jaisa q nae hai is mulq mai taleem ka nizam her tabkay kay kiye alag alag kiu hai..? garibon kay liye alag taleem ,ameeron kay liye alag taleem or mutavast tabkay kay liye bilkul alag he nizam baalkay garibon ko to taleem muyaasr he nae hai kahin government kay schools hain to teachers gaeb kahin perhany wala mujood hai to jaga nae ameer kay bacchy aala or mehengy school mai perhty hain jis ka koe muqabla he nae mutawast or gareeb tabkay kay schools say jis ki waja say fasla bharta ja raha in tbkaon kay bech mai garibon ko ameeron say or ameron ko garibon say nafrat hoti ja rahi hai hukumat ko chaye kay wo serkari taleemi mayar ko behter banaen takay koe tabka un schools mai perhny say na hichkichaye or taleemi nizam behter say behter hosaky, taleemi ferq kaam ho saky jo paida hogaia hai in tabkon kay bech is say na sirf apas ki ranjishain khatm honge balky pakistan ka image bhi behter hoga dunia ki nazar mai jis say pakistan ko terrakki kernay mai madad mily ge.
Please also like Urdu kahani on facebook


Post a Comment