Zara
Sochiye:-
Ajj buhut din baad blog likhnay ka khayl aya
asal mai ik baat nay mujhy buhut bchain ker dia tha mai chati thi is baat ko
mai apni awam tak phunchaon..ajj kal result ka mousum chal raha hai schools kay
result ka.. mery ik janny waly nay jo school kay owner hai onho nay ik saal
pehly he apna school khola hai kiu kay bilkul new school tha is liye bachon
mai buhut sary bacchy jo dosry schools
say aye hy buhut kamzor thy.buhut so ko daikhny ka bad yakeen he nae araha tha
kay unho nay classes kaisy pass ki honge kiu kay unhy urdu or English tak
perhni nae ati thi behral mai yeh blog waaldain kay haal per likh rahi hon to
is lye wahin ajaty hain dobara mujhy buhut qareeb say tajurba hua bachon or
waaldain kay khayalat ko daikhnay ka or bara afsos hua mujhy un kay khayaat
jaan ker.Bacchy to bacchy hoty hain wo mehnat krain ya na krain wo bus yahi
sochty hain kay first, second ajaen ya acche percentage say pass hojaen bhaly
perha ho ya na ho lekin waaldain…walidain ki akserriat nay to had he ker de un
ko is bat say matlab he nae tha kay bachon nay perha ya nae unhay sirf
percentage say matlab tha mai nay parents ko is baat per larty daikha kay mera bacha 90% kiu nae laya behraal wahan
kay owner nay bhi buhut aala jawad dia unho nay kaha kay aesa krain jin ko
aetaraz hai wo apny bacchon ko is saal ghar per behta lain nd final year mai
mujh say 80% ka certificate lay jaen kiu kay aap ko taleem nae sirf % chaye .Dil ajeeb hogaia yeh sub daikh ker kay
yeh hamary watan-e-aziz ka kia haal hogaia hai or watan-e-aziz ko is haal mai
phnuchanay mai ik bara kirder hamary schools ka bhi hai unhay sirf paison say
matlab hai un ko sirf money chaye or waaldain kay khayalat bhi ab aesy he
hogaye hain yahan un ko is baat say koe matlab nae kay bacchy ko perhna aya ya
nae balkay dehan sirf is baat per hai kay
wo kitne% lay ker ata hai takay her jaga
bata sakain afsos sirf dikhaway kay liye hum apna mustakbil zaya ker rahy hain
hum bus namod-o-numaesh ka shiker hogaye hain hamy koe ferq nae perta kay hum
ikhlaqi tor per girjaen hamy koe ferq nae perta kay hum Allah ki nafermani krain kiu kay hamy to bs maddi
chezon ki zarort hai…….


Post a Comment