Kashmir day:
Ajj pher wo
din agaia jis ko hum kashmiryon say yakjehti kay sath manatee hain pata nae
kitny saal beet jaye or hum yon he yeh din manatee jaen..ajj baat hindustan ki
gunda gerdi per nae kronge kiu kay koe
bhi dushman us waqt tak taqatwar
nae ho sakta jab tak aap usay moqa na dain.ajj baat sirf pakistanio ki keron ge
jo sirf ik din yakjehti mana ker sochty
hain kay unho nay apna farz aada ker dia un musalmano ki kronge jinho nay
hadees parh rakhay hai kay musalman ik jism ki manand hain ager jism kay kise
ik hissy ko takleef hoge to us ka dard tamam jism mehsos kery ga.Tto phr hum
kis tarah kashmiriyon ko un kay haal per chor ker behty hain hum kis tarah apny
bhaiyon ka merta hua daikh rahy hain..asal mai masla yeh hai kay hum nay islam
ko bus ik taraf ker kay rakh dia or fakhar say kehty hain kay hum musalman
hain..hum mai say kitny hain jo kashmiriyon ka dukh mehsos ker sakty hain..?hum
mai say kitny hai jo khary hon sakty hain kashmiryon kay liye..?jo hukumat say
mutalba ker sakty hain kay kashmiriyon
ko is zulm say nijat dilaye jaye..?hmm yeh ho kay shayd buhut log ab bhi
mujood hon jo is zulm ko dil say bura smhjty hon lekin ab baat dil say bura
smhjny say nikl gaye hai ab baat kharay hony ki agaye hai ab baat haaq mangnay
ki agaye hai ,ab kch ker daikhany ki baat agaye hai ab wo waqt hai kay haq kay
liye awaz uthaya jaye tamam muslim mutahid hojaen pher kise mai itne himmt hoge
kay wo kashmiriyon ko azad hony say ruk sakay werna ab muttahid na huy to kch
salon baad yeh waqt her muslim mulk per asakta hai pher hoga ehsaas ghulami ka.Behter yahi hai kay us
waqt kay aany say pehly muttahid hojaen or muttahid hony ka sb say behter zarya
Kashmir ki azadi say berh ker nae hosakta .INSHA-ALLAH buhut jldi wo din aye ga
jab hamary kashmiri bhai aazad hongy hamari tarah jab un ko yeh dar nae hoga
kay wo bahir niklain gy to koe un per danda gerdi kery ga koe un ki maaon behno
ki behurmati keray ga.Wo aazadi kay sath her tehwaar mana sakaingy apny piyaron
say mil sakaingy or acche zindagi guzer sakain gy(Aameen)


Post a Comment