Hukumat nay ik ber phir apni nakami ka
sabot dy dia hai schools ki chuttiyan brha ker phir apni buzdeli sabit ker de
hai,yeh koe tarika nae hai kay her ber dar ker schools band ker diye jaen kahin
or pakistan kay image ka to chorain is fesly say bacchon per kia aser para hoga
wo bacchy jo dehshrt gerdi ka nishana banny kay bawajob azmo-hoslay ka muzahira
ker rahy hain jo dehshirt gerdon kay aankhon mai aankh daal ker baat ker rahain
hain..sharam aani chaye hukumrano ko wo masom bacchon kay laho ka yeh qarz ada
ker rahy hain kay schools band ker dain htta kay hona to yeh chaye tha kay
hifazati nizaam ko behter kia jata takay tamam schools wagera sukoon say kholty
or taleemi nizam sukoon say jari rehta hai yeh jawab hota pakistani bacchon ki
taraf say un dehsirt gerdon ko jinho nay bacchon ko un kay doston say mehrom ker
dia yeh jawab hota un masoom shahidon ki taraf say jin ka koe qasor he nae tha
sirf pakistani hony ki waja say unhy mot ki nend sola dia gaia kia hukmirano ko
yaqeen hai kay un kayurdu kahani facebook is fesly say shaheed bachon ki roh kush hoge..?kia
hukmiran yeh soch ker behty hain kay is fesly say wo logon ki jaan bacha laingy
in logon nay buhut aazem fesla ker lia..?kash hukmiran behisy ki chader
utarty kash hukmiran un bacho ki roh kay
bary mai sochty jinho nay apni jaan qurban ker de apny watan kay liye wo 16
december ko khoon mai nae ahaye bulkay ajj is fesly nay unhy khoon mai nehla
dia hoga un dil ko rula dia hoga,mere hukumat say derkhuwast hai kay meherbani
ker kay wo is fesly ko wapis lay lain or qoum kay bacchon ko yeh sabit kerny dy
kay wo ik bahador qoum kay bacchy hain wo qoum jo kae salon say jang laar rahi
hai jis ki kamer torny ki kosish ki ja rahi hai charon taraf say lekin pher bhi wo
khari hai sirf apni bahodri ki waja say.


Post a Comment