Guzer gaia ik or saal:

Guzer gaia ik or saal:

                        
Waqt kitne teze say guzar raha hai her dosra banda waqt ka he rona rota nazar aata hai ik or saal kitne teze say beet gaia kuch khushi day gaia kch ghum 2014 mai buhut say aesy waqaiyaat huy jis nay pakistani qoum ka  khoon tak nichor lia jaisy peshawar ka waqaiya jis nay her pakistani ki aankh num ker de,timber market or aanar kali bazar mai lagi aag jis say derjano gharaany maashi badhali ka shikar hogaye.. hmm lekin hum sirf ghumon per nazer nae rakh sakty buhut se khushyan bhi is saal pakistani qoum ki zindagi ka hissa bani jaisy pakistani hockey team ka  itny salon bad hockey ka champion trophy final khilna yeh buhut bari khushi thi pakistanio kay liye,australia ko test match mai pakistan tarikh ki baad tareen shikast daina.Or bhi aesy buhut say waqaiyaat hai jis nay pakistani qoum ko khushi say jhumnay per majbor ker  dia khushi or ghum to insani zindagi ka hissa hai qoumon kay sath bhi yahi silsila jari rehta hai yeh to qoum pr inhaysar kerta hai kay wo mushkilaat ka kis tarah mouqabla kerti hai or khushi ka kis tarah istaqbaal kerti hai behraal ab pakistani qoum ko naye saal kay bary mai sochna chaye naya saal jis mai wo dakhil ho chuky hain us ko kis tarah behter banaya jaye usay kis tarah khushyon ka gehwara banaya jaye kis tarah is saal mushkilaat ka mouqabla kiya jaye kis tarah 2015 ko 2014 say behter banaya jaye q kay ise mai qoum ki behtri hai mazi ko lay ker beth gaye to haal bhi kharab ker dain gy 2014 mai jo hua us say sabaq sikhty huy ghaltiyon ko dobara na dohrany ka azam ker kay is saal ko behter bananay ka aeyhed kerna chaye yeh aeyhed pakistani qoum kay aander ik aeytamad peda ker dey ga jis say wo 2015 mai aany wali her mushkilaat ka dut ker mouqabla krain gey or jab kise mushkil  ka mil ker mouqabla kiya jaye to pher wo mushkil mushkil nae rehti.. INSHALLAH yeh saal pakistanio kay liye behtreen saal hoga or pakistan ki trakki mai ehem kirdar aada kery ga.    

Post a Comment