Awam pher pereshan

Awam pher pereshan:


                                         
 pakistani qoum ko shayad azziat sehny ki aadt per gae hai ik pereshani khatm nae hoti dosri shoru hojati hai pura punjub aesa lag raha qatar mai khara hai petrol ki masnoi qillat peda ker de gae hai ya waqai hogae hai...?lekin petrol pump malkaan is say faida utha rahy hain buhut say petrol pump maalkan kay pas petrol bhara para hai lekin sirf wo intizer ker rahy hain qemaat bharnay ka takay wo ziada say ziada munafa kama sakain un ko koe farq nae perhta hai kay log preshan ho rahy hain ya awam azziat mai hai un ko to sirf munafay say matlab hai kher un ko farq kaisy per sakta hai jub hukumat ko perwa na ho jab hukumat ki niyat he thek na ho jab wohi he nae chati hon buhraan ko khatm kerna ajj 6 dino baad to punjub kay hukmiraan jaagy hain un ko khayal aya hai kay kaam say kam hum notice to lay lain baki hamara kia jata hai kum say kam bol to sakaingy kay hum nay is mamlay ko ehmiat de thi or buhraan ko haal kernay kay liye notice lia 6 din bad he sahi.Behraal ALLAH ka shuker hai kay khayal a to gaia shayad ab kuch behter hojaye umeed ka daman he to hai ik hum jaisy pakistanio kay pass usay to chora nae ja sakta na, shayad qatarain khatam hojaen umeed per dunia qaem hai balkay nae umeed per pakisatani qoum qaem hai.

Post a Comment