Masoom Gadha:-
Insan ik taraf buhut imaandaar bhi hai to
tasvir kay dosry rukh mai is say ziada be-imaan bhi koe nae us say ziada nafs
parast bhi koe nae apny faidy kay chaker mai wo Halal or Haram ki tameez bhi
bhool jata hai.Gadha waisy to wazan
uthanay kay kaam ata hai lekin kuch sehtaan sift insan nay isy bhi qurbani kay
qabil bana lia hai..Aray aray yeh koe Mahavra ya mazak nae balkay asli mai Pakistan
mai is masoom kay sath wehsiana sulok kia ja raha hai or usay insan ki khuraak
banaya ja raha hai hatta kay gadha ik haram janwar hai.. Buhut salon pehlay Karachi
seher mai gadhay kay gost ka inkishaaf hua tha to us waqt kay insaaf kernay
walon nay mujrim ko qanoon kay tehet saza dy ker yeh sabit ker dia tha kay mulk
mai qanon mujud hai lekin ab to qanon kay rakhwaly bhi is bad or gehnony
dhanday mai shamil ho chukay hain ab to dar lagta hai kise hotel mai jatay huy
kay pata nae wahan ka khana halal bhi hoga ya…?Gadhay ka gost ka karubaar
kernay waly itny ba-aser hain kay in kay pass hathyaar barader ki puri team mujood
hai in per hath dalna itna asan nae hai ager galti say koe imaandaar police
officer kosish ker bhi lay hath dalnay ki
to sirf or sirf mot ka perwana us kay hath ata hai.Yeh dhanda sirf Karachi mai
he phal phool nae raha balkay Pakistan kay muktalif sehron, Jehlum,faislabbad,sukker,kher
por wagera mai bhi yeh karubaar aam hain
Rawalpindi mai bhi gadhay ka gost aam hai Buhut say qasaab aeb-daar gadhay ko
kam qeemat per kharid laity hain(Yani ik to pehly haraam 2 number kaam or is do number kaam per mazeed do numberyJ)
Mulk kay ik mashoor Akhbaar Jaang kay ik
feature mai likha hua tha kay..
Masalajaat
ki maksoos Buu-Khatm ho sakti hai(Mahir-e-pakwaan ka dawa)
Gadhay ka gost pakanay kay mahir ik bawerchi
nay apna naam zahir na kernay ki shirt per bataya kay “jis tarah digree hoti
hai, chaye wo asal ho ya jali, ise tarah gost,gost hota hai,chaye wo bakray
ka ho ya gadhay ka-dono mai koe khas ferq nae hota hai-jab mai gadhay ka gost
pakata hon, to is mai masalajaat ka istimal qadry ziada kerta hon-Kushk dhunniye
, dahi, aanar dany,sabz elaechi, long, lehson ka terka laga dia jaye to gadhay
kay gost ki maqsoos buu khatam ho jati hai or wo bakray kay gost say bhi behter
zaiqa daita hai-Is ka yeh bhi kehna hai kay ab tak tak kae shadiyon mai gadhay
kay gost ki dygain paka chukka hai-
Isy perh ker to
lakhon logo nay shadi mai jany ka irada he tabdil kerlia hoga…
Behraal Awam ka zehen to bus yeh chal raha kay
kab tak wo haram gost say dor reh sakaingy kiu kay jis rafter say yeh dhanda phel raha to ik
na ik din pakisan mai her koe haraam he kha raha hoga,Hamary siyasatdano ko
aqal aye (jo kay mushkil he hai)kay wo is dhanday ko khatam kernay kay liye
himmat bhandain or is maslay ko assembly mai uthaen takay mulk say yeh gehnona
dhanda khatam ho saky.



1 comments:
gadho se gadhoun k masle k hal ki tawaqo be-kar c lagti
Replyawam ko shaor jab tak ni aey gam gadhy bikty pakty rahein gay logoun ko khud ko daikhna pare ga
Post a Comment