Zara sochiye:

Zara Sochiye:-




Ajj buhut din baad blog likhnay ka khayl aya asal mai ik baat nay mujhy buhut bchain ker dia tha mai chati thi is baat ko mai apni awam tak phunchaon..ajj kal result ka mousum chal raha hai schools kay result ka.. mery ik janny waly nay jo school kay owner hai onho nay ik saal pehly he apna school khola hai kiu kay bilkul new school tha is liye bachon mai  buhut sary bacchy jo dosry schools say aye hy buhut kamzor thy.buhut so ko daikhny ka bad yakeen he nae araha tha kay unho nay classes kaisy pass ki honge kiu kay unhy urdu or English tak perhni nae ati thi behral mai yeh blog waaldain kay haal per likh rahi hon to is lye wahin ajaty hain dobara mujhy buhut qareeb say tajurba hua bachon or waaldain kay khayalat ko daikhnay ka or bara afsos hua mujhy un kay khayaat jaan ker.Bacchy to bacchy hoty hain wo mehnat krain ya na krain wo bus yahi sochty hain kay first, second ajaen ya acche percentage say pass hojaen bhaly perha ho ya na ho lekin waaldain…walidain ki akserriat nay to had he ker de un ko is bat say matlab he nae tha kay bachon nay perha ya nae unhay sirf percentage say matlab tha mai nay parents ko is baat per larty daikha  kay mera bacha 90% kiu nae laya behraal wahan kay owner nay bhi buhut aala jawad dia unho nay kaha kay aesa krain jin ko aetaraz hai wo apny bacchon ko is saal ghar per behta lain nd final year mai mujh say 80% ka certificate lay jaen kiu kay aap ko taleem nae sirf % chaye .Dil ajeeb hogaia yeh sub daikh ker kay yeh hamary watan-e-aziz ka kia haal hogaia hai or watan-e-aziz ko is haal mai phnuchanay mai ik bara kirder hamary schools ka bhi hai unhay sirf paison say matlab hai un ko sirf money chaye or waaldain kay khayalat bhi ab aesy he hogaye hain yahan un ko is baat say koe matlab nae kay bacchy ko perhna aya ya nae balkay dehan sirf is baat per  hai kay wo  kitne% lay ker ata hai takay her jaga bata sakain afsos sirf dikhaway kay liye hum apna mustakbil zaya ker rahy hain hum bus namod-o-numaesh ka shiker hogaye hain hamy koe ferq nae perta kay hum ikhlaqi tor per girjaen hamy koe ferq nae perta kay hum Allah ki  nafermani krain kiu kay hamy to bs maddi chezon ki zarort hai……. 

Kashmir day

Kashmir day:


Ajj pher wo din agaia jis ko hum kashmiryon say yakjehti kay sath manatee hain pata nae kitny saal beet jaye or hum yon he yeh din manatee jaen..ajj baat hindustan ki gunda gerdi per nae kronge kiu kay koe  bhi dushman us waqt  tak taqatwar nae ho sakta jab tak aap usay moqa na dain.ajj baat sirf pakistanio ki keron ge jo sirf ik din yakjehti  mana ker sochty hain kay unho nay apna farz aada ker dia un musalmano ki kronge jinho nay hadees parh rakhay hai kay musalman ik jism ki manand hain ager jism kay kise ik hissy ko takleef hoge to us ka dard tamam jism mehsos kery ga.Tto phr hum kis tarah kashmiriyon ko un kay haal per chor ker behty hain hum kis tarah apny bhaiyon ka merta hua daikh rahy hain..asal mai masla yeh hai kay hum nay islam ko bus ik taraf ker kay rakh dia or fakhar say kehty hain kay hum musalman hain..hum mai say kitny hain jo kashmiriyon ka dukh mehsos ker sakty hain..?hum mai say kitny hai jo khary hon sakty hain kashmiryon kay liye..?jo hukumat say mutalba ker sakty hain kay kashmiriyon  ko is zulm say nijat dilaye jaye..?hmm yeh ho kay shayd buhut log ab bhi mujood hon jo is zulm ko dil say bura smhjty hon lekin ab baat dil say bura smhjny say nikl gaye hai ab baat kharay hony ki agaye hai ab baat haaq mangnay ki agaye hai ,ab kch ker daikhany ki baat agaye hai ab wo waqt hai kay haq kay liye awaz uthaya jaye tamam muslim mutahid hojaen pher kise mai itne himmt hoge kay wo kashmiriyon ko azad hony say ruk sakay werna ab muttahid na huy to kch salon baad yeh waqt her muslim mulk per asakta hai pher  hoga ehsaas ghulami ka.Behter yahi hai kay us waqt kay aany say pehly muttahid hojaen or muttahid hony ka sb say behter zarya Kashmir ki azadi say berh ker nae hosakta .INSHA-ALLAH buhut jldi wo din aye ga jab hamary kashmiri bhai aazad hongy hamari tarah jab un ko yeh dar nae hoga kay wo bahir niklain gy to koe un per danda gerdi kery ga koe un ki maaon behno ki behurmati keray ga.Wo aazadi kay sath her tehwaar mana sakaingy apny piyaron say mil sakaingy or acche zindagi guzer sakain gy(Aameen)

Yahi such hai

Yahi such hai:


Jab bhi khaber sonny ko milte hai kay kise kafir nay hamaray Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) kI Shaan mai gustaki ki hai to dunia weraan se lagny lagti hai gussa aany lagta hai apny aap per kay is qabil bhi nae kay us gustaak ko saza day sakon yeh islam dusaman nae balkay insaniat kay dushman log hotay hain jo Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki shaan mai gustaki ker kay islam or deger  mazahib ko lerwana chaty hain pehli baat to yeh kay kise bhi mazhab mai kise ki dil azari ka koe qanon nae to aesa kernay waly kise mazhab say taloq rakh saktay hain kia..?in ka asal maqsad muslim dunia kay sath tamam dunia mai intishar pehlana hota hai jo thora buhut bhi mazhab ko janta ho chaye wo  musalman ho, essaye  ho ya kise bhi mazhab say taloq rakhta ho wo kabi kise bhi peghamber ki shaan mai gustaki ko sae nae kahy ga or khas tor per musalman to bilkul berdhast nae krain gay or pher apny piyaray aaqa Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki ho to kon berdhast ker sakta hai muslim hukmirano ko to aesho ashraat say fursaat nae milte un kay pas to time he nae dolat jama kernay kay siwa ab un kay liye mazhab ka koe matlab nae reh gaia hai or Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki shaan mai gustaki ka masla sirf muslim dunia ka nae balkay tamam dunia ka hai kiu kay Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w)sirf musalno kay pehghamber nae thy balkay tamam duni kay liye mohsin-e- insaniat thy kia koe gher muslim Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki seerat ka mutala kernay kay bad yeh keh sakta hai kay Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) sirf musalmano kay pehghamber thy ajj taak jitney bhi non muslims nay Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ki seerat ka mutala kia unho nay yeh baat mani kay Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) ka pehgham tamam dunia kay liye hidayat ka zarya hai jo koe bhi Prophet Hazrat Muhammad (s.a.w.w) kay diye gaye pehgham per aaml kary ga wo kamyaab rahy ga chaye wo gher muslim kiu na ho ager gher muslim is moqay per musalmano ka sath daingy to wo nasirf musalmano kay sath yakjehti keraingy balkay insaniat ko bhi sahara daingy jo ajj kahin khogae hai jo kay is dunia ki sub say bari zarorat hai .Ajj bary say bary hathyar banadiye gaye hain yeh soch ker kay taqawaar baan sakin lekin kise nay yeh socha hai kay yeh hathyar khud un ko bhi tabah ker daingy yeh sari chezain sirf mahol ko tabah krainge is say koe mashra ya koe ik mazhab tabah nae hoga balkay puri insaniyaat tabah hojaygee is liye tamam mazahib kay maanny walon ko chaye kay wo apny mazhaab ko sae say smjhain takay dunia ko tabahi say or dosron kay dil aazari say bach sakain kiu kay mera yakeen hai kay koe mazhaab ghalaat talem nae daita bus us kay manny waly usay sae samjh nae patay.  

Awam pher pereshan

Awam pher pereshan:


                                         
 pakistani qoum ko shayad azziat sehny ki aadt per gae hai ik pereshani khatm nae hoti dosri shoru hojati hai pura punjub aesa lag raha qatar mai khara hai petrol ki masnoi qillat peda ker de gae hai ya waqai hogae hai...?lekin petrol pump malkaan is say faida utha rahy hain buhut say petrol pump maalkan kay pas petrol bhara para hai lekin sirf wo intizer ker rahy hain qemaat bharnay ka takay wo ziada say ziada munafa kama sakain un ko koe farq nae perhta hai kay log preshan ho rahy hain ya awam azziat mai hai un ko to sirf munafay say matlab hai kher un ko farq kaisy per sakta hai jub hukumat ko perwa na ho jab hukumat ki niyat he thek na ho jab wohi he nae chati hon buhraan ko khatm kerna ajj 6 dino baad to punjub kay hukmiraan jaagy hain un ko khayal aya hai kay kaam say kam hum notice to lay lain baki hamara kia jata hai kum say kam bol to sakaingy kay hum nay is mamlay ko ehmiat de thi or buhraan ko haal kernay kay liye notice lia 6 din bad he sahi.Behraal ALLAH ka shuker hai kay khayal a to gaia shayad ab kuch behter hojaye umeed ka daman he to hai ik hum jaisy pakistanio kay pass usay to chora nae ja sakta na, shayad qatarain khatam hojaen umeed per dunia qaem hai balkay nae umeed per pakisatani qoum qaem hai.

Guzer gaia ik or saal:

Guzer gaia ik or saal:

                        
Waqt kitne teze say guzar raha hai her dosra banda waqt ka he rona rota nazar aata hai ik or saal kitne teze say beet gaia kuch khushi day gaia kch ghum 2014 mai buhut say aesy waqaiyaat huy jis nay pakistani qoum ka  khoon tak nichor lia jaisy peshawar ka waqaiya jis nay her pakistani ki aankh num ker de,timber market or aanar kali bazar mai lagi aag jis say derjano gharaany maashi badhali ka shikar hogaye.. hmm lekin hum sirf ghumon per nazer nae rakh sakty buhut se khushyan bhi is saal pakistani qoum ki zindagi ka hissa bani jaisy pakistani hockey team ka  itny salon bad hockey ka champion trophy final khilna yeh buhut bari khushi thi pakistanio kay liye,australia ko test match mai pakistan tarikh ki baad tareen shikast daina.Or bhi aesy buhut say waqaiyaat hai jis nay pakistani qoum ko khushi say jhumnay per majbor ker  dia khushi or ghum to insani zindagi ka hissa hai qoumon kay sath bhi yahi silsila jari rehta hai yeh to qoum pr inhaysar kerta hai kay wo mushkilaat ka kis tarah mouqabla kerti hai or khushi ka kis tarah istaqbaal kerti hai behraal ab pakistani qoum ko naye saal kay bary mai sochna chaye naya saal jis mai wo dakhil ho chuky hain us ko kis tarah behter banaya jaye usay kis tarah khushyon ka gehwara banaya jaye kis tarah is saal mushkilaat ka mouqabla kiya jaye kis tarah 2015 ko 2014 say behter banaya jaye q kay ise mai qoum ki behtri hai mazi ko lay ker beth gaye to haal bhi kharab ker dain gy 2014 mai jo hua us say sabaq sikhty huy ghaltiyon ko dobara na dohrany ka azam ker kay is saal ko behter bananay ka aeyhed kerna chaye yeh aeyhed pakistani qoum kay aander ik aeytamad peda ker dey ga jis say wo 2015 mai aany wali her mushkilaat ka dut ker mouqabla krain gey or jab kise mushkil  ka mil ker mouqabla kiya jaye to pher wo mushkil mushkil nae rehti.. INSHALLAH yeh saal pakistanio kay liye behtreen saal hoga or pakistan ki trakki mai ehem kirdar aada kery ga.    

Phir chutti:

Phir chutti

Hukumat nay ik ber phir apni nakami ka sabot dy dia hai schools ki chuttiyan brha ker phir apni buzdeli sabit ker de hai,yeh koe tarika nae hai kay her ber dar ker schools band ker diye jaen kahin or pakistan kay image ka to chorain is fesly say bacchon per kia aser para hoga wo bacchy jo dehshrt gerdi ka nishana banny kay bawajob azmo-hoslay ka muzahira ker rahy hain jo dehshirt gerdon kay aankhon mai aankh daal ker baat ker rahain hain..sharam aani chaye hukumrano ko wo masom bacchon kay laho ka yeh qarz ada ker rahy hain kay schools band ker dain htta kay hona to yeh chaye tha kay hifazati nizaam ko behter kia jata takay tamam schools wagera sukoon say kholty or taleemi nizam sukoon say jari rehta hai yeh jawab hota pakistani bacchon ki taraf say un dehsirt gerdon ko jinho nay bacchon ko un kay doston say mehrom ker dia yeh jawab hota un masoom shahidon ki taraf say jin ka koe qasor he nae tha sirf pakistani hony ki waja say unhy mot ki nend sola dia gaia kia hukmirano ko yaqeen hai kay un kayurdu kahani facebook is fesly say shaheed bachon ki roh kush hoge..?kia hukmiran yeh soch ker behty hain kay is fesly say wo logon ki jaan bacha laingy in logon nay buhut aazem fesla ker lia..?kash hukmiran behisy ki chader utarty  kash hukmiran un bacho ki roh kay bary mai sochty jinho nay apni jaan qurban ker de apny watan kay liye wo 16 december ko khoon mai nae ahaye bulkay ajj is fesly nay unhy khoon mai nehla dia hoga un dil ko rula dia hoga,mere hukumat say derkhuwast hai kay meherbani ker kay wo is fesly ko wapis lay lain or qoum kay bacchon ko yeh sabit kerny dy kay wo ik bahador qoum kay bacchy hain wo qoum jo kae salon say jang laar rahi hai jis ki kamer torny ki kosish ki ja rahi hai charon taraf say lekin pher bhi wo khari hai sirf apni bahodri ki waja say.