Dhaancha kis ka aap log soch rahy hongy kis
dhaanchy ki baat ho rahi hai kiu kay Pakistan mai to her chez ka dhaancha
matlab tiya pancha nikla hua hai behraal mai to yahan abhi pakisan cricket kay
dhaanchy ki baat ker rahi hon kuch cricket kay kerta dherta hamari cricket team ka bhi dhaancha niklalna chaty hain
balkay chatay nae hain nikaal chukay hain pakistan world cup mai koe khatir
khwn karkerdagi nae daikha saka kiu kay
misbah kay sath 2/3 khailari thy jo mulk kay liye khel rahy thy baki sub najam
or waqar kay liye khel rahy thy un ko sirf apny mustakbil ki pari thi zahir hai
kon pagal hai jo pak cricket kay Don ki na sun ker apna mustakbil kharab ker
laita kher yeh to thi world cup ki kahani us kay baad Don 2 nay ik tajwees pesh
ki kay Azhar Ali ko one day ka captain muqarrar ker dia jaye azher ali ki
qabiliat per to koe behes hai nae kay wo kaisa khailari hai kaisa nae behes to sirf is baat per thi kay ik bnda jis
ki oneday team mai jaga he banti one day kay captain kay liye us kay naam ki tajwees pesh ki gae kay usay
captain banadia jaye Mery khayal say to azher nay bhi jab yeh suna hoga to
heraan hua hoga or kaha hoga bhaly mere kitne bhi dosti hai coach say lekin
unhy itne aehmaqana tajwees to nae daine chaye thi itna khol ker mery or apny
taloqat ko zahir nae kerna chaye tha,her Pakistani ki samajh say bahir thi yeh
tajwees kay ik bnda jo khelta nae oneday wo oneday ka captan kaisy baan sakta
hai behral jo bhi pakistanio ko samajh aye ya nae aye wo herat zada nae thy kiu kay wo aadi ho chukay hain
aesy be-waja feslon kay behraal ab to captain muntakib bhi hogaye Don 2 ki
tajwees per he zahir hai wo don hainnn bus ab to dua hain kay ALLAH azhar ali
ko Pakistan cricket kay haq mai accha captain
banady hum Pakistani to bus dua he ker sakty hain kay hockey ki tarah cricket ka dhaancha na niklay or Pakistan cricket
hamesha surkuru rahy chaye captain koe bhi ho.(Aameen)


1 comments:
Well Written (Y)
ReplyPost a Comment